aane vaalii thii khizaan maidaan khaalii kar diyaa
— Aitbar Sajid
Aane vaalee thee khizaan maidaan khaalee kar diyaa
Kal havaa-e-shab ne sara lawn khaalee kar diyaa
Ham tire khawabon kee jannat se nikal kar aa ga.e
Dekh teraa qasr-e-aalee-shaan khaalee kar diyaa
Dushmanon ne shust baandhee khema-e-ummeed par
Doston ne durra-e-imkaan khaalee kar diyaa
BaanTne niklaa hai wo phoolon ke tohfe shahr men
Is khabar par ham ne bhee gul-daan khaalee kar diyaa
Le gaya wo saath apne dil kee saaree raunaqen
Kis qadar ye shahr thaa gunjaan khaalee kar diyaa
Saaree chiDiyaan uD ga.iin mujh ko akelaa chhoD kar
Mere ghar kaa sehn aur daalaan khaalee kar diyaa
Diary men saare achchhe she'r chun kar likh liye
Ek laDkee ne miraa deevaan khaalee kar diyaa