bande zameen aur aasmaan sarmaa ki shab kahaaniyaan

Aitbar Sajid

Bande zameen aur aasmaan sarmaa kee shab kahaaniyaan Sachchee hain ye rifaaqaten baaqee hain sab kahaaniyaan Kheme ukhaD ujaD ga.e aisi havaa-e-shab chalee Kirnen zameen pe likh ga.iin kaisee ajab kahaaniyaan Vus.at-e-dasht ke makeen vaadee men kuuch kar ga.e Shaakhon pe barf likh ga.ee naghma-ba-lab kahaaniyaan Chaand kee khaak aa ga.ee pairon tale hayaat ke Aisi kaThin rivaayaten aisi kaDhab kahaaniyaan Jauhar-e-haq nahin milaa mujh ko kisee kitaab men MiTTee se sun raha hoon main aalee-nasab kahaaniyaan Vus.at-e-koh-o-dasht ho shahr o nagar kaa gasht ho Meraa safar hikaayaten meraa adab kahaaniyaan Shahron ko kya khabar ki main kaun hoon kis fazaa men hoon Likhnee hain ek din mujhe sabr-talab kahaaniyaan