bhiid hai bar sar e baazaar kahiin aur chalen
— Aitbar Sajid
BhiiD hai bar-sar-e-baazaar kaheen aur chalen
Aa mire dil mire gham-khvaar kaheen aur chalen
Koi khiDkee nahin khultee kisee baagheeche men
Saans lenaa bhee hai dushvaar kaheen aur chalen
Too bhee maghmoom hai main bhee hoon bahut afsurda
Donon is dukh se hain do-chaar kaheen aur chalen
DhoonDte hain koi sarsabz kushaada see fazaa
Vaqt kee dhund ke us paar kaheen aur chalen
Ye jo phoolon se bharaa shahr huaa kartaa thaa
Us ke manzar hain dil-aazaar kaheen aur chalen
Aise hangaamaa-e-mahshar men to dam ghuTtaa hai
Baaten Kuch karnee hain is baar kaheen aur chalen