main takiye par sitaare bo raha hoon
— Aitbar Sajid
Main takiye par sitaare bo raha hoon
Janam-din hai akelaa ro raha hoon
Kisee ne jhaank kar dekhaa na dil men
Ki main andar se kaisaa ho raha hoon
Jo dil par daagh hain pichhlee ruton ke
Unhen ab aansuon se dho raha hoon
Sabhee parchhaa.iyaan hain saath lekin
Bharee mahfil men tanhaa ho raha hoon
Mujhe in nisbaton se kaun samjhaa
Main rishte men kisee kaa jo raha hoon
Main chaunk uThtaa hoon aksar baiThe baiThe
Ki jaise jaagte men so raha hoon
Kise paane kee khvaahish hai ki 'saajid'
Main rafta rafta khud ko kho raha hoon