mujhe aisa lutf ataa kiyaa ki jo hijr thaa na visaal thaa

Aitbar Sajid

Mujhe aisa lutf ataa kiyaa ki jo hijr thaa na visaal thaa Mire mausamon ke mizaaj-daan tujhe meraa kitnaa khayaal thaa Kisee aur chehre ko dekh kar tiree shakl zehn men aa ga.ee Tiraa naam le ke milaa use mere haafize kaa ye haal thaa Kabhi mausamon ke saraab men kabhi baam-o-dar ke azaab men Vahaan umr ham ne guzaar dee jahaan saans lenaa muhaal thaa Kabhi too ne ghaur nahin kiyaa ki ye log kaise ujaD ga.e Koi 'meer' jaisaa girafta-dil tere saamne kee misaal thaa Tire ba.ad koi nahin milaa jo ye haal dekh ke poochhtaa Mujhe kis kee aag jalaa ga.ee mire dil ko kis kaa malaal thaa Kaheen khoon-e-dil se likhaa to thaa tire saal-e-hijr kaa saaneha Wo adhooree Diary kho ga.ee wo na-jaane kaun saa saal thaa