raste kaa intikhaab zaruurii saa ho gaya

Aitbar Sajid

Raste kaa intikhaab zarooree saa ho gaya Ab ikhtitaam-e-baab zarooree saa ho gaya Ham chup rahe to aur bhee ilzaam aa.egaa Ab Kuch na Kuch javaab zarooree saa ho gaya Ham Taalte rahe ki ye naubat na aane paa.e Phir hijr kaa azaab zarooree saa ho gaya Har shaam jald sone kee aadat hee paD ga.ee Har raat ek khvaab zarooree saa ho gaya Aahon se TooTtaa naheen ye gumbad-e-siyaah Ab sang-e-aaftaab zarooree saa ho gaya Denaa hai imtihaan tumhaare firaaq kaa Ab sabr kaa nisaab zarooree saa ho gaya