tark e taalluq kar to chuke hain ik imkaan Abhi baaqii hai
— Aitbar Sajid
Tark-e-ta.alluq kar to chuke hain ik imkaan abhee baaqee hai
Ek mahaaz se lauT aa.e hain ik maidaan abhee baaqee hai
Shaayad us ne hansee hansee men tark-e-wafa kaa zikr kiyaa ho
Yoonhee see ik khush-fahmee hai itminaan abhee baaqee hai
Raaten us ke hijr men ab bhee naza.a ke aalam men kaTtee hain
Dil men vaisee hee vahshat hai tan men jaan abhee baaqee hai
Bachpan ke is ghar ke saare kamre maliyaa-meT hue
Jis men ham khelaa karte the wo daalaan abhee baaqee hai
Diye munDer pa rakh aate hain ham har shaam na jaane kyuun
Shaayad us ke lauT aane kaa Kuch imkaan abhee baaqee hai
Ek adaalat aur hai jis men ham tum ik din haazir honge
Faisla sun kar khush mat honaa ik meezaan abhee baaqee hai