vahii hain apnii raaton ki kathaaen
— Aitbar Sajid
Vahee hain apnee raaton kee kathaa.en
Firaaq-e-yaar khvaab-aavar davaa.en
Vahee andar tamavvuj aandhiyon kaa
Vahee baahar havaa kee saa.en saa.en
Yahaan hai kaun aisa aane vaalaa
Ki ham kamra saleeqe se sajaa.en
Koee in rat-jagon kee had bhee hogee
Dareechon men diye kab tak jalaa.en
Kahaan tak saath chal saktaa hai koee
Kahaan tak saath dengee ye duaa.en
Sulag uThtaa hai yuun be-saakhta dil
Chamak uThtee hain baahar kee fazaa.en