wo pahlii jaisii vahshaten wo haal hi nahin raha
— Aitbar Sajid
Wo pahlee jaisee vahshaten wo haal hee nahin raha
Ki ab to shauq raahat-e-visaal hee nahin raha
Tamaam hasraten har ik savaal dafn kar chuke
Hamaare paas ab koi savaal hee nahin raha
Talaash-e-rizq men ye shaam is tarah guzar ga.ee
Koi hai apna muntazir khayaal hee nahin raha
In aate jaate roz-o-shab ki gardishon ko dekh kar
Kisee ke hijr kaa koi malaal hee nahin raha
Hamaaraa kya banegaa Kuch na Kuch to is pe sochte
Magar kabhi hamen gham-e-ma.aal hee nahin raha
Tumhaare khaal-o-khad pe ik kitaab likh rahe the ham
Magar tumhaaraa husn be-misaal hee nahin raha
Sanvaartaa nikhaartaa main kaise apne aap ko
Tumhaare baad apna Kuch khayaal hee nahin raha
Zaraa see baat se dilon men itnaa farq aa gaya
Ta.alluqaat kaa to phir savaal hee nahin raha