aankhen mujhe talvon se wo malne nahin dete

Akbar Allahabadi

Aankhen mujhe talvon se wo malne naheen dete Armaan mire dil ke nikalne naheen dete Khaatir se tiree yaad ko Talne naheen dete Sach hai ki hameen dil ko sambhalne naheen dete Kis naaz se kahte hain wo jhunjhlaa ke shab-e-vasl Tum to hamen karvaT bhee badalne naheen dete Parvaanon ne faanoos ko dekhaa to ye bole Kyuun ham ko jalaate ho ki jalne naheen dete Hairaan hoon kis tarah karoon arz-e-tamannaa Dushman ko to pahloo se wo Talne naheen dete Dil wo hai ki fariyaad se labrez hai har vaqt Ham wo hain ki Kuch munh se nikalne naheen dete Garmi-e-mohabbat men wo hain aah se maane.a Pankhaa nafas-e-sard kaa jhalne naheen dete