bahut raha hai kabhi lutf e yaar ham par bhi
— Akbar Allahabadi
Bahut raha hai kabhi lutf-e-yaar ham par bhee
Guzar chukee hai ye fasl-e-bahaar ham par bhee
Uroos-e-dahr ko aayaa tha pyaar ham par bhee
Ye besvaa thee kisee shab nisaar ham par bhee
BiThaa chukaa hai zamaana hamen bhee masnad par
Huaa kiye hain javaahir nisaar ham par bhee
Adoo ko bhee jo banaayaa hai tum ne mahram-e-raaz
To fakhr kya jo huaa aitbaar ham par bhee
Khataa kisee kee ho lekin khulee jo un kee zabaan
To ho hee jaate hain do ek vaar ham par bhee
Ham aise rind magar ye zamaana hai wo ghazab
Ki Daal hee diyaa dunya kaa baar ham par bhee
Hamen bhee aatish-e-ulfat jalaa chukee 'akbar'
Haraam ho ga.ee dozakh kee naar ham par bhee