charkh se Kuch umiid thii hi nahin

Akbar Allahabadi

Charkh se Kuch umiid thee hee naheen Aarzoo main ne koee kee hee naheen Maz.habee bahas main ne kee hee naheen Faaltoo aql mujh men thee hee naheen Chaahtaa thaa bahut see baaton ko Magar afsos ab wo jee hee naheen Jur.at-e-arz-e-haal kya hotee Nazar-e-lutf us ne kee hee naheen Is museebat men dil se kya kahtaa Koee aisi misaal thee hee naheen Aap kya jaanen qadr-e-yaa-allaah Jab museebat koee paDee hee naheen Shirk chhoDaa to sab ne chhoD diyaa Meree koee society hee naheen Poochhaa 'akbar' hai aadmee kaisaa Hans ke bole wo aadmee hee naheen