dil e maayuus men wo shorishen barpaa nahin hotiin
— Akbar Allahabadi
Dil-e-maayoos men wo shorishen barpaa naheen hoteen
Umeeden is qadar TooTeen ki ab paidaa naheen hoteen
Miree betaabiyaan bhee juzv hain ik meree hastee kee
Ye zaahir hai ki maujen khaarij az Dariya naheen hoteen
Vahee pariyaan hain ab bhee raajaa indar ke akhaaDe men
Magar shahzaada-e-gulfaam par shaidaa naheen hoteen
Yahaan kee auraton ko ilm kee parvaa naheen be-shak
Magar ye shauharon se apne be-parvaa naheen hoteen
Ta.alluq dil kaa kya baaqee main rakkhoon bazm-e-Dunya se
Wo dilkash sooraten ab anjuman-aaraa naheen hoteen
Huaa hoon is qadar afsurda rang-e-baagh-e-hastee se
Havaa.en fasl-e-gul kee bhee nashaat-afzaa naheen hoteen
Qazaa ke saamne be-kaar hote hain havaas 'akbar'
Khulee hotee hain go aankhen magar biinaa naheen hoteen