dil ho kharaab diin pe jo Kuch asar pade
— Akbar Allahabadi
Dil ho kharaab diin pe jo Kuch asar paDe
Ab kaar-e-aashiqee to bahar-kaif kar paDe
Ishq-e-butaan kaa diin pe jo Kuch asar paDe
Ab to nibaahnaa hai jab ik kaam kar paDe
Maz.hab chhuDaayaa ishva-e-Dunya ne shaikh se
Dekhee jo rail uunT se aakhir utar paDe
Betaabiyaan naseeb na thiin varna ham-nasheen
Ye kya zaroor thaa ki unheen par nazar paDe
Behtar yahee hai qasd udhar kaa karen na wo
Aisa na ho ki raah men dushman kaa ghar paDe
Ham chaahte hain mel vajood-o-adam men ho
Mumkin to hai jo beach men un kee kamar paDe
Daanaa vahee hai dil jo kare aap kaa khayaal
Biinaa vahee nazar hai ki jo aap par paDe
Honee na chaahiye thee mohabbat magar huee
PaDnaa na chaahiye thaa ghazab men magar paDe
Shaitaan kee na maan jo raahat-naseeb ho
Allaah ko pukaar museebat agar paDe
Ai shaikh un buton kee ye chaalaakiyaan to dekh
Nikle agar haram se to 'akbar' ke ghar paDe