Dunya men hoon Dunya kaa talabgaar nahin hoon
— Akbar Allahabadi
Dunya men hoon Dunya kaa talabgaar naheen hoon
Baazaar se guzraa hoon khareedaar naheen hoon
Zinda hoon magar ziist kee lazzat naheen baaqee
Har-chand ki hoon hosh men hushyaar naheen hoon
Is khaana-e-hastee se guzar jaa.oongaa be-laus
Saaya hoon faqat naqsh-ba-deevaar naheen hoon
Afsurda hoon ibrat se davaa kee naheen haajat
Gham kaa mujhe ye zo.af hai beemaar naheen hoon
Wo gul hoon khizaan ne jise barbaad kiyaa hai
Uljhoon kisee daaman se main wo khaar naheen hoon
Yaa rab mujhe mahfooz rakh us but ke sitam se
Main us kee inaayat kaa talabgaar naheen hoon
Go daava-e-taqvaa naheen dargaah-e-khuda men
But jis se hon khush aisa gunahgaar naheen hoon
Afsurdagee o zo.af kee Kuch had naheen 'akbar'
Kaafir ke muqaabil men bhee deen-daar naheen hoon