falsafii ko bahs ke andar khuda miltaa nahin
— Akbar Allahabadi
Falsafee ko bahs ke andar khuda miltaa nahin
Dor ko suljhaa raha hai aur siraa miltaa nahin
Ma.arifat khaaliq kee aalam men bahut dushvaar hai
Shahr-e-tan men jab ki khud apna pataa miltaa nahin
Ghaafilon ke lutf ko kaafee hai duniyaavee khushee
Aaqilon ko be-gham-e-uqbaa mazaa miltaa nahin
Kashti-e-dil kee ilaahee bahr-e-hastee men ho khair
Naakhudaa milte hain lekin baa-khuda miltaa nahin
Ghaafilon ko kya sunaa.oon daastaan-e-ishq-e-yaar
Sunne vaale milte hain dard-aashnaa miltaa nahin
Zindagaanee kaa mazaa miltaa thaa jin kee bazm men
Un kee qabron kaa bhee ab mujh ko pataa miltaa nahin
Sirf zaahir ho gaya sarmaaya-e-zeb-o-safaa
Kya ta.ajjub hai jo baatin baa-safaa miltaa nahin
Pukhta tabaon par havaadis kaa nahin hota asar
Kohsaaron men nishaan-e-naqsh-e-paa miltaa nahin
Shaikh-saahib barhaman se laakh barten dostee
Be-bhajan gaa.e to mandir se Tikaa miltaa nahin
Jis pe dil aayaa hai wo sheereen-adaa miltaa nahin
Zindagee hai talkh jiine kaa mazaa miltaa nahin
Log kahte hain ki bad-naamee se bachnaa chaahiye
Keh do be us ke javaanee kaa mazaa miltaa nahin
Ahl-e-zaahir jis qadar chaahen karen bahs-o-jidaal
Main ye samjhaa hoon khudee men to khuda miltaa nahin
Chal base wo din ki yaaron se bharee thee anjuman
Haa.e afsos aaj soorat-aashnaa miltaa nahin
Manzil-e-ishq-o-tavakkul manzil-e-ezaaz hai
Shaah sab baste hain yaan koi gadaa miltaa nahin
Baar takleefon kaa mujh par baar-e-ehsaan se hai sahl
Shukr kee jaa hai agar haajat-ravaa miltaa nahin
Chaandnee raaten bahaar apnee dikhaatee hain to kya
Be tire mujh ko to lutf ai mah-laqaa miltaa nahin
Ma.anee-e-dil kaa kare iz.haar 'akbar' kis tarah
Lafz mauzoon bahr-e-kashf-e-mudda.aa miltaa nahin