gamza nahin hota ki ishaaraa nahin hota
— Akbar Allahabadi
Ghamza naheen hota ki ishaaraa naheen hota
Aankh un se jo miltee hai to kya kya naheen hota
Jalva na ho ma.anee kaa to soorat kaa asar kya
Bulbul gul-e-tasveer kaa shaidaa naheen hota
Allaah bachaa.e maraz-e-ishq se dil ko
Sunte hain ki ye aariza achchhaa naheen hota
Tashbeeh tire chehre ko kya duun gul-e-tar se
Hota hai shagufta magar itnaa naheen hota
Main naza.a men hoon aa.en to ehsaan hai un kaa
Lekin ye samajh len ki tamaashaa naheen hota
Ham aah bhee karte hain to ho jaate hain badnaam
Wo qatl bhee karte hain to charchaa naheen hota