haal e dil main sunaa nahin saktaa
— Akbar Allahabadi
Haal-e-dil main sunaa nahin saktaa
Lafz ma.anaa ko paa nahin saktaa
Ishq naazuk-mizaaj hai behad
Aql kaa bojh uThaa nahin saktaa
Hosh aarif kee hai yahee pahchaan
Ki khudee men samaa nahin saktaa
Ponchh saktaa hai ham-nasheen aansoo
Daagh-e-dil ko miTaa nahin saktaa
Mujh ko hairat hai us kee qudrat par
Alam us ko ghaTaa nahin saktaa