hangaama hai kyuun barpaa thodii sii jo pii lii hai
— Akbar Allahabadi
Hangaama hai kyuun barpaa thoDee see jo pee lee hai
Daakaa to nahin maaraa choree to nahin kee hai
Naa-tajraba-kaaree se vaa.iz kee ye hain baaten
Is rang ko kya jaane poochho to kabhi pee hai
Us mai se nahin matlab dil jis se hai begaana
Maqsood hai us mai se dil hee men jo khinchtee hai
Ai shauq vahee mai pee ai hosh zaraa so jaa
Mehmaan-e-nazar is dam ik barq-e-tajallee hai
Vaan dil men ki sadme do yaan jee men ki sab sah lo
Un kaa bhee ajab dil hai meraa bhee ajab jee hai
Har zarra chamaktaa hai anvaar-e-ilaahee se
Har saans ye kahtee hai ham hain to khuda bhee hai
Sooraj men lage dhabbaa fitrat ke karishme hain
But ham ko kahen kaafir allaah kee marzee hai
Ta.aleem kaa shor aisa tahzeeb kaa ghul itnaa
Barkat jo nahin hotee niyyat kee kharaabee hai
Sach kahte hain shaikh 'akbar' hai taa.at-e-haq laazim
Haan tark-e-mai-o-shaahid ye un kee buzurgee hai