hasiinon ke gale se lagtii hai zanjiir sone ki
— Akbar Allahabadi
Haseenon ke gale se lagtee hai zanjeer sone kee
Nazar aatee hai kya chamkee huee taqdeer sone kee
Na dil aataa hai qaaboo men na niind aatee hai aankhon men
Shab-e-furqat men kyuun kar ban paDe tadbeer sone kee
Yahaan bedaariyon se khoon-e-dil aankhon men aataa hai
Gulaabee kartee hai aankhon ko vaan taaseer sone kee
Bahut bechain hoon niind aa rahi hai raat jaatee hai
Khuda ke vaaste jald ab karo tadbeer sone kee
Ye zarda chiiz hai jo har jagah hai baa.is-e-shaukat
Sunee hai aalam-e-baalaa men bhee ta.ameer sone kee
Zaroorat kya hai rukne kee mire dil se nikaltaa rah
Havas mujh ko nahin ai naala-e-shab-geer sone kee
Chhapar-khaT yaan jo sone kee banaa.ee is se kya haasil
Karo ai ghaafilo kuch qabr men tadbeer sone kee