ik bosa diijiye miraa iimaan liijiye

Akbar Allahabadi

Ik bosa deejiye miraa eemaan leejiye Go but hain aap bahr-e-khuda maan leejiye Dil le ke kahte hain tiree khaatir se le liyaa UlTaa mujhee pe rakhte hain ehsaan leejiye Ghairon ko apne haath se hans kar khilaa diyaa Mujh se kabeeda ho ke kahaa paan leejiye Marnaa qubool hai magar ulfat naheen qubool Dil to na doongaa aap ko main jaan leejiye Haazir huaa karoongaa main aksar huzoor men Aaj achchhee tarah se mujhe pahchaan leejiye