jab yaas huii to aahon ne siine se nikalnaa chhod diyaa
— Akbar Allahabadi
Jab yaas huee to aahon ne siine se nikalnaa chhoD diyaa
Ab khushk-mizaaj aankhen bhee huiin dil ne bhee machalnaa chhoD diyaa
Naavak-faganee se zaalim kee jangal men hai ik sannaaTaa saa
Murghaan-e-khush-ilhaan ho ga.e chup aahoo ne uchhalnaa chhoD diyaa
Kyuun kibr-o-ghuroor is daur pe hai kyuun dost falak ko samjhaa hai
Gardish se ye apnee baaz aayaa yaa rang badalnaa chhoD diyaa
Badlee wo havaa guzraa wo samaan wo raah nahin wo log nahin
Tafreeh kahaan aur sair kujaa ghar se bhee nikalnaa chhoD diyaa
Wo soz-o-gudaaz us mahfil men baaqee na raha andher huaa
Parvaanon ne jalnaa chhoD diyaa sham'on ne pighalnaa chhoD diyaa
Har gaam pe chand aankhen nigaraan har moD pe ik licence-talab
Us park men aakhir ai 'akbar' main ne to Tahalnaa chhoD diyaa
Kya diin ko quvvat den ye javaan jab hausla-afzaa koi nahin
Kya hosh sanbhaalen ye laDke khud us ne sanbhalnaa chhoD diyaa
Iqbaal musaa'id jab na raha rakkhe ye qadam jis manzil men
Ashjaar se saaya duur huaa chashmon ne ubalnaa chhoD diyaa
Allaah kee raah ab tak hai khulee aasaar-o-nishaan sab qaa.em hain
Allaah ke bandon ne lekin us raah men chalnaa chhoD diyaa
Jab sar men havaa-e-taa.at thee sarsabz shajar ummeed kaa thaa
Jab sar-sar-e-isyaan chalne lagee is peD ne phalnaa chhoD diyaa
Us hoor-laqaa ko ghar laa.e ho tum ko mubaarak ai 'akbar'
Lekin ye qayaamat kee tum ne ghar se jo nikalnaa chhoD diyaa