kahaan wo ab lutf e baahamii hai mohabbaton men bahut kamii hai
— Akbar Allahabadi
Kahaan wo ab lutf-e-baahamee hai mohabbaton men bahut kamee hai
Chalee hai kaisee havaa ilaahee ki har tabee.at men barhamee hai
Miree wafa men hai kya tazalzul miree itaa.at men kya kamee hai
Ye kyuun nigaahen phiree hain mujh se mizaaj men kyuun ye barhamee hai
Vahee hai fazl-e-khuda se ab tak taraqqi-e-kaar-e-husn o ulfat
Na wo hain mashq-e-sitam men qaasir na khoon-e-dil kee yahaan kamee hai
Ajiib jalve hain hosh-dushman ki vahm ke bhee qadam ruke hain
Ajiib manzar hain hairat-afzaa nazar jahaan thee vaheen thamee hai
Na koi takreem-e-baahamee hai na pyaar baaqee hai ab dilon men
Ye sirf tahreer men Dear sir hai yaa janaab-e-mukarramee hai
Kahaan ke muslim kahaan ke hindoo bhulaa.ee hain sab ne aglee rasmen
Aqeede sab ke hain teen-terah na gyaarahveen hai na ashTamee hai
Nazar miree aur hee taraf hai hazaar rang-e-zamaana badle
Hazaar baaten banaa.e naaseh jamee hai dil men jo Kuch jamee hai
Agarche main rind-e-mohtaram hoon magar ise shaikh se na poochho
Ki un ke aage to is zamaane men saaree Dunya jahannamee hai