khuda alii gadh ke madrase ko tamaam amraaz se shifaa de
— Akbar Allahabadi
Khuda alee-gaDh ke madrase ko tamaam amraaz se shifaa de
Bhare hue hain ra.ees-zaade ameer-zaade shareef-zaade
Lateef o khush-vaz.a chust-o-chaalaak o saaf-o-paakeeza shaad-o-khurram
Tabee.aton men hai un kee jaudat dilon men un ke hain nek iraade
Kamaal mehnat se paDh rahe hain kamaal ghairat se baDh rahe hain
Savaar mashriq kee raah men hain to maghribee raah men piyaade
Har ik hai un men kaa be-shak aisa ki aap use jaante hain jaisaa
Dikhaa.e mahfil men qadd-e-ra.anaa jo aap aa.en to sar jhukaa de
Faqeer maangen to saaf kah den ki too hai mazboot jaa kamaa khaa
Qubool farmaa.en aap daavat to apna sarmaaya kul khilaa de
Buton se un ko nahin lagaavaT mison kee lete nahin wo aahaT
Tamaam quvvat hai sarf-e-khvaandan nazar ke bhole hain dil kee saade
Nazar bhee aa.e jo zulf-e-pechaan to samjhen ye koi policy hai
Electric light us ko samjhen jo barq-vash koi koi de
Nikalte hain kar ke ghol-bandee ba-naam-e-tahzeeb o dard-mandee
Ye kah ke lete hain sab se chande hamen jo tum do tumhen khuda de
Unhen isee baat par yaqeen hai ki bas yahee asal kaar-e-aden hai
Isee see hogaa farogh-e-qaumee isee se chamkenge baap daade
Makaan-e-college ke sab makeen hain abhee unhen tajrabe nahin hain
Khabar nahin hai ki aage chal kar hai kaisee manzil hain kaisee jaade
Dilon men un ke hai noor-e-eemaan qavee nahin hai magar nigahbaan
Havaa-e-mantiq adaa-e-tiflee ye sham.a aisa na ho bujhaa de
Fareb de kar nikaale matlab sikhaa.e tahqeer-e-deen-o-maz.hab
MiTaa de aakhir ko vaz-e-millat numood-e-zaatee ko gar baDhaa de
Yahee bas 'akbar' kee iltijaa hai janaab-e-baaree men ye duaa hai
Uloom-o-hikmat kaa dars un ko professor den samajh khuda de