Kuch aaj ilaaj e dil e biimaar to kar len
— Akbar Allahabadi
Kuch aaj ilaaj-e-dil-e-beemaar to kar len
Ai jaan-e-jahaan aao zaraa pyaar to kar len
Munh ham ko lagaataa hee naheen wo but-e-kaafir
Kahtaa hai ye allaah se inkaar to kar len
Samjhe hue hain kaam nikaltaa hai junoon se
Kuch tajraba-e-sub.ha-o-zunnaar to kar len
Sau jaan se ho jaa.oongaa raazee main sazaa par
Pahle wo mujhe apna gunahgaar to kar len
Haj se hamen inkaar naheen hazrat-e-vaa.iz
Tauf-e-haram-e-koocha-e-dildaar to kar len
Manzoor wo kyon karne lage daavat-e-'akbar'
Khair is se hai kya bahas ham israar to kar len