kya jaaniye sayyad the haq aagaah kahaan tak
— Akbar Allahabadi
Kya jaaniye sayyad the haq aagaah kahaan tak
Samjhe na ki seedhee hai miree raah kahaan tak
Mantiq bhee to ik chiiz hai ai qibla o kaaba
De saktee hai kaam aap kee vallaah kahaan tak
Aflaak to is ahd men saabit hue maadoom
Ab kya kahoon jaatee hai miree aah kahaan tak
Kuch san.at o hirfat pe bhee laazim hai tavajjoh
Aakhir ye government se tankhvaah kahaan tak
Marnaa bhee zarooree hai khuda bhee hai koee chiiz
Ai hirs ke bando havas-e-jaah kahaan tak
Tahseen ke laa.eq tiraa har sher hai 'akbar'
Ahbaab karen bazm men ab vaah kahaan tak