madrasa alii gadh
— Akbar Allahabadi
Khuda alee-gaDh ke madrase ko tamaam amraaz se shifaa de
Bhare hue hain raees-zaade ameer-zaade shareef-zaade
Lateef o khush-vaz.a chust o chaalaak o saaf o paakeeza shaad-o-khurram
Tabee.aton men hai in kee jaudat dilon men in ke hain nek iraade
Kamaal-e-mehnat se paDh rahe hain kamaal-e-ghairat se paDh rahe hain
Savaar mashriq raah men hain to maghribee raah men piyaade
Har ik hai in men kaa be-shak aisa ki aap use chaahte hain jaisaa
Dikhaave mahfil men qadd-e-ra.anaa jo aap aa.en to sar jhukaa de
Faqeer maange to saaf kah den ki too hai mazboot jaa kamaa khaa
Qubool farmaa.en aap daavat to apna sarmaaya kul khilaa de
Buton se in ko nahin lagaavaT mison kee lete nahin wo aahaT
Tamaam quvvat hai sarf-e-khvaandan nazar ke bhole hain dil ke saade
Nazar bhee aa.e jo zulf-e-pechaan to samjhen ye koi policy hai
Electric light us ko samjhen jo barq-vash koi kuude
Nikalte hain kar ke ghol-bandee ba-naam-e-tahzeeb o dard-mandee
Ye kah ke lete hain sab se chande jo tum hamen do tumhen khuda de
Unhen isee baat par yaqeen hai ki bas yahee asl kaar-e-deen hai
Isee se hogaa farogh-e-qaumee isee se chamkenge baap daade
Makaan-e-college ke sab makeen hain abhee unhen tajrabe nahin hain
Khabar nahin hai ki aage chal kar hai kaisee manzil hain kaise jaade
Dilon men in ke hain noor-e-eemaan qavee nahin hai magar nigahbaan
Havaa-e-mantiq adaa-e-tiflee ye sham.a aisa na ho bujhaa de
Fareb de kar nikaale matlab sikhaa.e tahqeer-e-deen-o-mazhab
MiTaa de aakhir ko deen-o-maz.hab numood-e-zaatee ko go baDhaa de
Yahee bas 'akbar' kee iltijaa hai janaab baaree men ye duaa hai
Uluum o hikmat kaa dars in ko professor den samajh khuda de
KHuda ali-gaDh ke madrase ko tamam amraaz se shifa de
Bhare hue hain rais-zade amir-zade sharif-zade
Latif o KHush-waza chust o chaalak o saf o pakiza shad-o-KHurram
Tabiaton mein hai in ki jaudat dilon mein in ke hain nek irade
Kamal-e-mehnat se paDh rahe hain kamal-e-ghairat se paDh rahe hain
Sawar mashriq rah mein hain to maghribi rah mein piyaade
Har ek hai in mein ka be-shak aisa ki aap use chahte hain jaisa
Dikhawe mahfil mein qadd-e-rana jo aap aaen to sar jhuka de
Faqir mange to saf kah den ki tu hai mazbut ja kama kha
Qubul farmaen aap dawat to apna sarmaya kul khila de
Buton se in ko nahin lagawaT mison ki lete nahin wo aahaT
Tamam quwwat hai sarf-e-KHwandan nazar ke bhole hain dil ke sade
Nazar bhi aae jo zulf-e-pechan to samjhen ye koi policy hai
Electric light us ko samjhen jo barq-wash koi kude
Nikalte hain kar ke ghol-bandi ba-nam-e-tahzib o dard-mandi
Ye kah ke lete hain sab se chande jo tum hamein do tumhein KHuda de
Unhen isi baat par yaqin hai ki bas yahi asl kar-e-din hai
Isi se hoga farogh-e-qaumi isi se chamkenge bap dade
Makan-e-college ke sab makin hain abhi unhen tajrabe nahin hain
KHabar nahin hai ki aage chal kar hai kaisi manzil hain kaise jade
Dilon mein in ke hain nur-e-iman qawi nahin hai magar nigahban
Hawa-e-mantiq ada-e-tifli ye shama aisa na ho bujha de
Fareb de kar nikale matlab sikhae tahqir-e-din-o-mazhab
MiTa de aaKHir ko din-o-mazhab numud-e-zati ko go baDha de
Yahi bas 'akbar' ki iltija hai janab bari mein ye dua hai
Ulum o hikmat ka dars in ko professor den samajh KHuda de