mazhab kaa ho kyuunkar ilm o amal dil hi nahin bhaaii ek taraf
— Akbar Allahabadi
Maz.hab kaa ho kyoonkar ilm-o-amal dil hee naheen bhaa.ee ek taraf
Cricket kee khilaa.ee ek taraf collage kee paDhaa.ee ek taraf
Kya zauq-e-ibaadat ho un ko jo bas ke labon ke shaidaa hain
Halvaa-e-bahishtee ek taraf hotel kee miThaa.ee ek taraf
Taa.oon-o-tap aur khaTmal machchhar sab Kuch hai ye paidaa keechaD se
Bambe kee ravaanee ek taraf aur saaree safaa.ee ek taraf
Maz.hab kaa to dam wo bharte hain be-parda buton ko karte hain
Islaam kaa da.avaa ek taraf ye kaafir-adaa.ee ek taraf
Har samt to hai ek daam-e-balaa rah sakte hain khush kis tarah bhalaa
Aghyaar kee kaavish ek taraf aapas kee laDaa.ee ek taraf
Kya kaam chale kya rang jame kya baat bane kaun us kee sune
Hai 'akbar'-e-bekas ek taraf aur saaree khuda.ee ek taraf
Fariyaad kiye jaa ai 'akbar' Kuch ho hee rahegaa aakhir-kaar
Allaah se tauba ek taraf saahab kee duhaa.ee ek taraf