na ruuh e mazhab na qalb e aarif na shaairaana zabaan baaqii

Akbar Allahabadi

Na rooh-e-maz.hab na qalb-e-aarif na shaa.iraana zabaan baaqee Zameen hamaaree badal ga.ee hai agarche hai aasmaan baaqee Shab-e-guzishta ke saaz o saamaan ke ab kahaan hain nishaan baaqee Zabaan-e-shama-e-sahar pe hasrat kee rah ga.ee daastaan baaqee Jo zikr aataa hai aakhirat kaa to aap hote hain saaf munkir Khuda kee nisbat bhee dekhtaa hoon yaqeen rukhsat gumaan baaqee Fuzool hai un kee bad-dimaaghee kahaan hai fariyaad ab labon par Ye vaar par vaar ab abas hain kahaan badan men hai jaan baaqee Main apne miTne ke gham men naalaan udhar zamaana hai shaad o khandaan Ishaara kartee hai chashm-e-dauraan jo aan baaqee jahaan baaqee Isee liye rah ga.ee hain aankhen ki mere miTne kaa rang dekhen Sunoon wo baaten jo hosh uDaa.en isee liye hain ye kaan baaqee Ta.ajjub aataa hai tifl-e-dil par ki ho gaya mast-e-nazm-e-'akbar' Abhee middle paas tak naheen hai bahut se hain imtihaan baaqee