rang e sharaab se mirii niyyat badal gaii
— Akbar Allahabadi
Rang-e-sharaab se miree niyyat badal ga.ee
Vaa.iz kee baat rah ga.ee saaqee kee chal ga.ee
Tayyaar the namaaz pe ham sun ke zikr-e-hoor
Jalva buton kaa dekh ke niyyat badal ga.ee
Machhlee ne Dhiil paa.ee hai luqme pe shaad hai
Sayyaad mutma.in hai ki kaanTaa nigal ga.ee
Chamkaa tiraa jamaal jo mahfil men waqt-e-shaam
Parvaana be-qaraar huaa sham.a jal ga.ee
Uqbaa kee baaz-purs kaa jaataa raha khayaal
Dunya kee lazzaton men tabee.at bahal ga.ee
Hasrat bahut taraqqee-e-dukhtar kee thee unhen
Parda jo uTh gaya to wo aakhir nikal ga.ee