sab jaante hain ilm se hai zindagii ki ruuh sab jaante hain ilm se hai zindagii ki ruuh

Akbar Allahabadi

Sab jaante hain ilm se hai zindagee kee ruuh Be-ilm hai agar to wo insaan hai naa tamaam Be-ilm-o-be-hunar hai jo dunya men koi qaum Nature kaa iqtizaa hai rahe ban ke wo ghulaam Ta.aleem agar nahin hai zamaane ke hasb-o-haal Phir kya umeed-e-daulat-o-aaraam-o-ihteraam Sayyad ke dil men naqsh ho is khayaal kaa Daalee binaa-e-madrasa le kar khuda kaa naam Sadme uThaa.e ranj sahe gaaliyaan suneen Lekin na chhoDaa qaum ke khaadim ne ye kaam Dikhlaa diyaa zamaane ko zor-e-dil-o-dimaagh Batlaa diyaa wo karte hain karne vaale kaam Niyyat jo thee ba-khair to barkat khuda ne dee Collage huaa durust ba-sad shaan-o-ehtishaam Sarmaa.e men kamee thee sahaaraa koi na tha Sayyad kaa dil tha darpai takmeel-e-intizaam Aakhir uThaa safar ko wo mard khasta paye Ahbaab chand saath the zee-ilm-o-khush-kalaam Qismat ki rahbaree se milee manzil-e-muraad Farmaan-ravaa-e-mulk-e-dakan ko kiyaa salaam Haalat dikhaa.ee aur zaroorat bayaan kee Khoobee se iltimaas kiyaa qaum kaa payaam Rahm aa gaya huzoor ko haalat pe qaum kee Phir kya tha maujzan huaa Dariya-e-faiz-e-aam Maahaana do hazaar kiyaa ik hazaar se Ummeed se ziyaada ataa thee ye laa-kalaam 'akbar' kee ye duaa hai khuda kee janaab men Taa-hashr is ra.ees-o-riyaasat ko ho qayaam Kyaa waqt par huee hai ki be-ehtijjaj-e-fikr Taareek apnee aap hai fayyazee-e-nizaam Sab jaante hain ilm se hai zindagi ki ruh Be-ilm hai agar to wo insan hai na tamam Be-ilm-o-be-hunar hai jo duniya mein koi qaum Nature ka iqtiza hai rahe ban ke wo ghulam Talim agar nahin hai zamane ke hasb-o-haal Phir kya umid-e-daulat-o-aram-o-ihteram Sayyad ke dil mein naqsh ho is KHayal ka Dali bina-e-madrasa le kar KHuda ka nam Sadme uThae ranj sahe galiyan sunin Lekin na chhoDa qaum ke KHadim ne ye kaam Dikhla diya zamane ko zor-e-dil-o-dimagh Batla diya wo karte hain karne wale kaam Niyyat jo thi ba-KHair to barkat KHuda ne di Collage hua durust ba-sad shan-o-ehtisham Sarmae mein kami thi sahaara koi na tha Sayyad ka dil tha darpai takmil-e-intizam AaKHir uTha safar ko wo mard KHasta paye Ahbab chand sath the zi-ilm-o-KHush-kalam Qismat ki rahbari se mili manzil-e-murad Farman-rawa-e-mulk-e-dakan ko kiya salam Haalat dikhai aur zarurat bayan ki KHubi se iltimas kiya qaum ka payam Rahm aa gaya huzur ko haalat pe qaum ki Phir kya tha maujzan hua dariya-e-faiz-e-am Mahana do hazar kiya ek hazar se Ummid se ziyaada ata thi ye la-kalam 'akbar' ki ye dua hai KHuda ki janab mein Ta-hashr is rais-o-riyasat ko ho qayam Kya waqt par hui hai ki be-ehtijjaj-e-fikr Tarik apni aap hai fayyazi-e-nizam