sadiyon philosophy ki chunaan aur chuniin rahii
— Akbar Allahabadi
Sadiyon philosophy kee chunaan aur chuneen rahi
Lekin khuda kee baat jahaan thee vaheen rahi
Zor-aazmaa.iyaan huiin science kee bhee khuub
Taaqat baDhee kisee kee kisee men nahin rahi
Dunya kabhi na sulh pe maa.il huee magar
Baaham hamesha barsar-e-paikaar-o-keen rahi
Paayaa agar farogh to sirf un nufoos ne
Jin kee ki khizr-e-raah faqat sham-e-deen rahi
Allaah hee kee yaad bahar-haal khalq men
Vaj.h-e-sukoon-e-khatir-e-andoh-geen rahi