sayyad se aaj hazrat e vaaiz ne ye kahaa sayyad se aaj hazrat e vaaiz ne ye kahaa
— Akbar Allahabadi
Sayyad se aaj hazrat-e-vaa.iz ne ye kahaa
Charchaa hai jaa-ba-jaa tire haal-e-tabaah kaa
Samjhaa hai too ne nature o tadbeer ko khuda
Dil men zaraa asar na raha laa-ilaah kaa
Ho tujh se tark-e-saum-o-salaat-o-zakaat-o-haj
Kuchh Dar nahin janaab-e-risaalat-panaah kaa
Shaitaan ne dikhaa ke jamaal-e-uroos-e-dahr
Banda banaa diyaa hai tujhe hubb-e-jaah kaa
Us ne diyaa javaab ki maz.hab ho yaa rivaaj
Raahat men jo mukhil ho wo kaanTaa hai raah kaa
Afsos hai ki aap hain dunya se be-khabar
Kyaa jaaniye jo rang hai shaam-o-pagaah kaa
Europe kaa pesh aa.e agar aap ko safar
Guzre nazar se haal re.aayaa-o-shaah kaa
Vo aab-o-taab-o-shaukat-e-aivaan-e-khusravee
Vo mahakmon kee shaan wo jalva sipaah kaa
Aa.e nazar uloom-e-jadeedah kee raushnee
Jis se khajil ho nuur rukh-e-mehr-o-maah kaa
Daavat kisee amiir ke ghar men ho aap kee
Kam-sin mison se zikr ho ulfat kaa chaah kaa
Nau-khez dil-fareb gul-andaam naazneen
Aariz pe jin ke baar ho daaman nigaah kaa
Rukiye agar to hans ke kahe ik but-e-haseen
Sun maulvee ye baat nahin hai gunaah kaa
Us waqt qibla jhuk ke karoon aap ko salaam
Phir naam bhee huzoor jo len khaanqaah kaa
Patloon-o-koT-o-bangla-o-biscuit kee dhun bandhe
Saudaa janaab ko bhee ho turkee kulaah kaa
Mimbar pe yuun to baith ke goshe men ai janaab
Sab jaante hain va.az savaab-o-gunaah kaa
Sayyad se aaj hazrat-e-waiz ne ye kaha
Charcha hai ja-ba-ja tere haal-e-tabah ka
Samjha hai tu ne nature o tadbir ko KHuda
Dil mein zara asar na raha la-ilah ka
Ho tujh se tark-e-saum-o-salat-o-zakat-o-haj
Kuchh Dar nahin janab-e-risalat-panah ka
Shaitan ne dikha ke jamal-e-urus-e-dahr
Banda bana diya hai tujhe hubb-e-jah ka
Us ne diya jawab ki mazhab ho ya riwaj
Rahat mein jo muKHil ho wo kanTa hai rah ka
Afsos hai ki aap hain duniya se be-KHabar
Kya jaaniye jo rang hai sham-o-pagah ka
Europe ka pesh aae agar aap ko safar
Guzre nazar se haal reaya-o-shah ka
Wo aab-o-tab-o-shaukat-e-aiwan-e-khusrawi
Wo mahakmon ki shan wo jalwa sipah ka
Aae nazar ulum-e-jadidah ki raushni
Jis se KHajil ho nur ruKH-e-mehr-o-mah ka
Dawat kisi amir ke ghar mein ho aap ki
Kam-sin mison se zikr ho ulfat ka chah ka
Nau-KHez dil-fareb gul-andam naznin
Aariz pe jin ke bar ho daman nigah ka
Rukiye agar to hans ke kahe ek but-e-hasin
Sun maulwi ye baat nahin hai gunah ka
Us waqt qibla jhuk ke karun aap ko salam
Phir nam bhi huzur jo len KHanqah ka
Patlun-o-koT-o-bangla-o-biscuit ki dhun bandhe
Sauda janab ko bhi ho turki kulah ka
Mimbar pe yun to baith ke goshe mein ai janab
Sab jaante hain waz sawab-o-gunah ka