siine se lagaaen tumhen armaan yahii hai
— Akbar Allahabadi
Siine se lagaa.en tumhen armaan yahee hai
Jiine kaa maza hai to miree jaan yahee hai
Sabr is liye achchhaa hai ki aa.inda hai ummeed
Maut is liye behtar hai ki aasaan yahee hai
Too dil men to aataa hai samajh men naheen aataa
Bas jaan gayaa main tiree pahchaan yahee hai
Gesoo ke shareek aur bhee the qatl men mere
Kyaa vaj.h hai is kee ki pareshaan yahee hai
Us but ne kahaa bosa-e-be-izn pa hans kar
Bas dekh liyaa aap kaa eemaan yahee hai
Karte hain ba-tadreej wo zulmon men izaafa
Mujh par agar un kaa hai Kuch ehsaan yahee hai
Ham falsafe ko kahte hain gumraahee kaa baa.is
Wo peT dikhaate hain ki shaitaan yahee hai