tariiq e ishq men mujh ko koi kaamil nahin miltaa
— Akbar Allahabadi
Tareeq-e-ishq men mujh ko koi kaamil nahin miltaa
Ga.e farhaad o majnoon ab kisee se dil nahin miltaa
Bharee hai anjuman lekin kisee se dil nahin miltaa
Hameen men aa gaya Kuch naqs yaa kaamil nahin miltaa
Puraanee raushnee men aur na.ee men farq itnaa hai
Use kashtee nahin miltee ise saahil nahin miltaa
Pahunchnaa daad ko mazloom kaa mushkil hee hota hai
Kabhi qaazee nahin milte kabhi qaatil nahin miltaa
Hareefon par khazaane hain khule yaan hijr-e-gesoo hai
Vahaan pe bil hai aur yaan saanp kaa bhee bil nahin miltaa
Ye husn o ishq hee kaa kaam hai shubah karen kis par
Mizaaj un kaa nahin miltaa hamaaraa dil nahin miltaa
Chhupaa hai siina o rukh dil-sitaan haathon se karvaT men
Mujhe sote men bhee wo husn se ghaafil nahin miltaa
Havaas-o-hosh gum hain bahr-e-irfaan-e-ilaahee men
Yahee Dariya hai jis men mauj ko saahil nahin miltaa
Kitaab-e-dil mujhe kaafee hai 'akbar' dars-e-hikmat ko
Main spencer se mustaghnee hoon mujh se mil nahin miltaa