tuu vaz par apnii qaaim rah qudrat ki magar tahqiir na kar

Akbar Allahabadi

Too vaz' par apnee qaa.im rah qudrat kee magar tahqeer na kar De paa-e-nazar ko aazaadee khud-beenee ko zanjeer na kar Go teraa 'amal mahdood rahe aur apnee hee had maqsood rahe Rakh zehn ko saathee fitrat kaa band us pe dar-e-taaseer na kar Baatin men ubhar kar zabt-e-fughaan le apnee nazar se kaar-e-zabaan Dil josh men laa fariyaad na kar taaseer dikhaa taqreer na kar Too khaak men mil aur aag men jal jab khisht bane tab kaam chale In khaam dilon ke unsur par buniyaad na rakh taa'meer na kar