unhen nigaah hai apne jamaal hi ki taraf
— Akbar Allahabadi
Unhen nigaah hai apne jamaal hee kee taraf
Nazar uThaa ke nahin dekhte kisee kee taraf
Tavajjoh apnee ho kya fann-e-shaa.iree kee taraf
Nazar har ek kee jaatee hai aib hee kee taraf
Likhaa huaa hai jo ronaa mire muqaddar men
Khayaal tak nahin jaataa kabhi hansee kee taraf
Tumhaaraa saaya bhee jo log dekh lete hain
Wo aankh uThaa ke nahin dekhte paree kee taraf
Balaa men phanstaa hai dil muft jaan jaatee hai
Khuda kisee ko na le jaa.e us galee kee taraf
Kabhi jo hotee hai takraar ghair se ham se
To dil se hote ho dar-parda tum usee kee taraf
Nigaah paDtee hai un par tamaam mahfil kee
Wo aankh uThaa ke nahin dekhte kisee kee taraf
Nigaah us but-e-khud-been kee hai mire dil par
Na aa.ine kee taraf hai na aarsee kee taraf
Qubool keejiye lillaah tohfa-e-dil ko
Nazar na keejiye is kee shikastagee kee taraf
Yahee nazar hai jo ab qaatil-e-zamaana huee
Yahee nazar hai ki uThtee na thee kisee kee taraf
Ghareeb-khaana men lillaah do-ghaDee baiTho
Bahut dinon men tum aa.e ho is galee kee taraf
Zaraa see der hee ho jaa.egee to kya hogaa
GhaDee ghaDee na uThaao nazar ghaDee kee taraf
Jo ghar men poochhe koi khauf kya hai kah denaa
Chale ga.e the Tahalte hue kisee kee taraf
Hazaar jalva-e-husn-e-butaan ho ai 'akbar'
Tum apna dhyaan lagaa.e raho usee kee taraf