wo havaa na rahii wo chaman na raha wo galii na rahii wo hasiin na rahe
— Akbar Allahabadi
Wo havaa na rahi wo chaman na raha wo galee na rahi wo haseen na rahe
Wo falak na raha wo samaan na raha wo makaan na rahe wo makeen na rahe
Wo gulon men gulon kee see boo na rahi wo azeezon men lutf kee khoo na rahi
Wo haseenon men rang-e-wafa na raha kahen aur kee kya wo hameen na rahe
Na wo aan rahi na umang rahi na wo rindee o zohd kee jang rahi
Soo-e-qibla nigaahon ke rukh na rahe aur dar pe naqsh-e-jabeen na rahe
Na wo jaam rahe na wo mast rahe na fidaa.i-e-ahd-e-alast rahe
Wo tareeqa-e-kaar-e-jahaan na raha wo mashaaghil-e-raunaq-e-deen na rahe
Hamen laakh zamaana lubhaa.e to kya na.e rang jo charkh dikhaa.e to kya
Ye muhaal hai ahl-e-wafa ke liye gham-e-millat o ulfat-e-deen na rahe
Tire koocha-e-zulf men dil hai miraa ab use main samajhtaa hoon daam-e-balaa
Ye ajiib sitam hai ajiib jafaa ki yahaan na rahe to kaheen na rahe
Ye tumhaare hee dam se hai bazm-e-tarab abhee jaao na tum na karo ye ghazab
Koi baith ke lutf uThaa.egaa kya ki jo raunaq-e-bazm tumheen na rahe
Jo thiin chashm-e-falak kee bhee noor-e-nazar vahee jin pe nisaar the shams o qamar
So ab aisi miTee hain wo anjuman.en ki nishaan bhee un ke kaheen na rahe
Vahee sooraten rah ga.iin pesh-e-nazar jo zamaane ko pheren idhar se udhar
Magar aise jamaal-e-jahaan-aaraa jo the raunaq-e-roo-e-zameen na rahe
Gham o ranj men 'akbar' agar hai ghiraa to samajh le ki ranj ko bhee hai fanaa
Kisee shai ko nahin hai jahaan men baqaa wo ziyaada malool o hazeen na rahe