aae ham gaalib o iqbaal ke nagmaat ke baad
— Ali Sardar Jafri
Aa.e ham 'ghaalib'-o-'iqbaal' ke naghmaat ke ba.ad
'mus.haf'-e-ishq-o-junoon husn kee aayaat ke ba.ad
Ai vatan khaak-e-vatan wo bhee tujhe de denge
Bach gaya hai jo lahoo ab ke fasaadaat ke ba.ad
Naar-e-namrood yahee aur yahee gulzaar-e-khaleel
Koee aatish naheen aatish-kada-e-zaat ke ba.ad
Raam-o-gautam kee zameen hurmat-e-insaan kee amiin
Baanjh ho jaa.egee kya Khoon kee barsaat ke ba.ad
Tishnagee hai ki bujhaa.e naheen bujhtee 'sardaar'
BaDh ga.ee kausar-o-tasneem kee saughaat ke ba.ad