aandhiyaan chaltii rahen aflaak tharraate rahe

Ali Sardar Jafri

Aandhiyaan chaltee rahen aflaak tharraate rahe Apna parcham ham bhee toofaanon men lahraate rahe KaaT kar raaton ke parbat asr-e-nau ke tesha-zan Joo-e-sheer-o-chashma-e-noor-e-sahar laate rahe Kaarvaan-e-himmat-e-jamhoor baDhtaa hee gaya Shahr-yaar-o-hukmaraan aate rahe jaate rahe Rahbaron kee bhuul thee yaa rahbaree kaa mudda.aa Qaafilon ko manzilon ke paas bhaTkaate rahe Jis qadar baDhtaa gaya zaalim havaaon kaa kharosh Us ke kaakul aur bhee aariz pe lahraate rahe Phaansiyaan ugtee raheen zindaan ubharte hee rahe Chand deevaane junoon ke zamzame gaate rahe