aqiide bujh rahe hain sham e jaan gul hotii jaatii hai
— Ali Sardar Jafri
Aqeede bujh rahe hain sham-e-jaan ghul hotee jaatee hai
Magar zauq-e-junoon kee sho.ala-saamaanee naheen jaatee
Khuda ma.aloom kis kis ke lahoo kee laala-kaaree hai
Zameen-e-koo-e-jaanaan aaj pahchaanee naheen jaatee
Agar yuun hai to kyuun hai yuun naheen to kyuun naheen aakhir
Yaqeen mohkam hai lekin zid kee hairaanee naheen jaatee
Lahoo jitnaa thaa saaraa sarf-e-maqtal ho gaya lekin
Shaheedaan-e-wafa ke rukh kee taabaanee naheen jaatee
Pareshaan-rozgaar aashufta-haalaan kaa muqaddar hai
Ki us zulf-e-pareshaan kee pareshaanee naheen jaatee
Har ik shai aur mahngee aur mahngee hotee jaatee hai
Bas ik khoon-e-bashar hai jis kee arzaanee naheen jaatee
Ye naghma naghma-e-bedaaree-e-jamhoor-e-aalam hai
Wo shamsheer-e-navaa jis kee darakhshaanee naheen jaatee
Na.e khawabon ke dil men sho.ala-e-khursheed-e-mahshar hai
Zameer-e-hazrat-e-insaan kee sultaanee naheen jaatee
Lagaate hain labon par mohr arbaab-e-zabaan-bandee
Alee-'sardaar' kee shaan-e-ghazal-khvaanee naheen jaatee