dil ki aag javaanii ke rukhsaaron ko dahkaae hai
— Ali Sardar Jafri
Dil kee aag javaanee ke rukhsaaron ko dahkaa.e hai
Bahe paseena mukhDe par yaa sooraj pighlaa jaa.e hai
Man ik nanhaa saa baalak hai humak humak rah jaa.e hai
Duur se mukh kaa chaand dikhaa kar kaun use lalchaa.e hai
Mai hai teree aankhon men aur mujh pe nasha saa taaree hai
Niind hai teree palkon men aur khvaab mujhe dikhlaa.e hai
Tere qaamat kee larzish se mauj-e-mai men larzish hai
Teree nigah kee mastee hee paimaanon ko chhalkaa.e hai
Teraa dard salaamat hai to marne kee ummeed nahin
Laakh dukhee ho ye Dunya rehne kee jagah ban jaa.e hai