dostii kaa haath tumhaaraa haath badhaa hai jo dostii ke liye
— Ali Sardar Jafri
Tumhaaraa haath baDhaa hai jo dostee ke liye
Mire liye hai wo ik yaar-e-gham-gusaar kaa haath
Vo haath shaakh-e-gul-e-gulshan-e-tamannaa hai
Mahak raha hai mire haath men bahaar kaa haath
Khudaa kare ki salaamat rahen ye haath apne
Ataa hue hain jo zulfen sanvaarne ke liye
Zameen se naqsh miTaane ko zulm o nafrat kaa
Falak se chaand sitaare utaarne ke liye
Zameen-e-paak hamaare jigar kaa TukDaa hai
Hamen aziiz hai dehlee o lucknow kee tarah
Tumhaare lahje men meree navaa kaa lahja hai
Tumhaaraa dil hai haseen meree aarzoo kee tarah
Karen ye ahd ki auzaar-e-jang jitne hain
Unhen miTaanaa hai aur khaak men milaanaa hai
Karen ye ahd ki arbaab-e-jang hain jitne
Unhen sharaafat o insaaniyat sikhaanaa hai
Ji.en tamaam haseenaan-e-khaibar-o-lahore
Ji.en tamaam javaanaan-e-jannat-e-kashmeer
Ho lab pe naghma-e-mahr-o-wafa kee taabaanee
Kitaab-e-dil pe faqat harf-e-ishq ho tahreer
Tum aao gulshan-e-lahore se chaman-bardosh
Ham aa.en subh-e-banaaras kee raushnee le kar
Himaaliya kee havaaon kee taazgee le kar
Phir is ke baa'd ye poochhen ki kaun dushman hai
Tumhaara hath baDha hai jo dosti ke liye
Mere liye hai wo ek yar-e-gham-gusar ka hath
Wo hath shaKH-e-gul-e-gulshan-e-tamanna hai
Mahak raha hai mere hath mein bahaar ka hath
KHuda kare ki salamat rahen ye hath apne
Ata hue hain jo zulfen sanwarne ke liye
Zamin se naqsh miTane ko zulm o nafrat ka
Falak se chand sitare utarne ke liye
Zamin-e-pak hamare jigar ka TukDa hai
Hamein aziz hai dehli o lucknow ki tarah
Tumhaare lahje mein meri nawa ka lahja hai
Tumhaara dil hai hasin meri aarzu ki tarah
Karen ye ahd ki auzar-e-jang jitne hain
Unhen miTana hai aur KHak mein milana hai
Karen ye ahd ki arbab-e-jang hain jitne
Unhen sharafat o insaniyat sikhana hai
Jien tamam hasinan-e-KHaibar-o-lahore
Jien tamam jawanan-e-jannat-e-kashmir
Ho lab pe naghma-e-mahr-o-wafa ki tabani
Kitab-e-dil pe faqat harf-e-ishq ho tahrir
Tum aao gulshan-e-lahore se chaman-bardosh
Hum aaen subh-e-banaras ki raushni le kar
Himaliya ki hawaon ki tazgi le kar
Phir is ke ba'd ye puchhen ki kaun dushman hai