fasl e gul fasl e khizaan jo bhi ho khush dil rahiye
— Ali Sardar Jafri
Fasl-e-gul fasl-e-khizaan jo bhee ho khush-dil rahiye
Koi mausam ho har ik rang men kaamil rahiye
Mauj o girdaab o talaatum kaa taqaazaa hai Kuch aur
Rahiye mohtaat to bas taa-lab-e-saahil rahiye
Dekhte rahiye ki ho jaa.e na kam shaan-e-junoon
Aa.ina ban ke khud apne hee muqaabil rahiye
Un kee nazron ke sivaa sab kee nigaahen uTTheen
Mahfil-e-yaar men bhee zeenat-e-mahfil rahiye
Dil pe har haal men hai sohbat-e-naa-jins haraam
Haif-sad-haif ki naa-jinson men shaamil rahiye
Daagh siine kaa dahaktaa rahe jaltaa rahe dil
Raat baaqee hai jahaan tak mah-e-kaamil rahiye
Jaaniye daulat-e-kaunain ko bhee jins-e-haqeer
Aur dar-e-yaar pe ik bose ke saa.il rahiye
Aashiqee sheva-e-rindaan-e-balaa-kash hai miyaan
Vaj.h-e-shaa.istagee-e-khanjar-e-qaatil rahiye