harf e aakhir ye aadmii ki guzargaah e shaahraah e hayaat
— Ali Sardar Jafri
Ye aadmee kee guzargaah-e-shaahraah-e-hayaat
Hazaaron saal kaa baar-e-garaan uThaa.e hue
Jabeen pe kaatib-e-taqdeer kee jalee tahreer
Gale se saikDon naqsh-e-qadam lagaa.e hue
Guzarte waqt ke gard-o-ghubaar ke neeche
Haseen jism kee taabindagee chhupaa.e hue
Guzishta daur kee tahzeeb kee manaazil ko
Javaan maan kee tarah god men sulaa.e hue
Ye aadmee kee guzargaah-e-shaahraah-e-hayaat
Hazaaron saal kaa baar-e-garaan uThaa.e hue
Idhar se guzre hain changez-o-naadir-o-taimoor
Lahoo men bheegee huee mish.alen jalaa.e hue
Ghulaamon aur kaneezon ke kaarvaan aa.e
Khud apne khuun men Duube hue nahaa.e hue
Shikasta dosh pe deevaar-e-cheen ko laade
Saron pe misr ke ehraam ko uThaa.e hue
Jalaal-e-shaikh-o-shikoh-e-barhamanee ke juloos
Havas ke seenon men aatish-kade chhupaa.e hue
Jahaalaton kee taveel-o-areez parchhaa.een
Tavahhumaat kee taareekiyaan jagaa.e hue
Safed qaum ke ayyaar taajiron ke giroh
Fareb-o-makr se apnee dukaan sajaa.e hue
Shikast-khurda siyaasee gadaagaron ke hujoom
Adab se TuuTee huee gardanen jhukaa.e hue
Ghamon se chuur musaafir thake hue raahee
Charaagh-e-rooh ke dil ke kanval bujhaa.e hue
Ye aadmee kee guzargaah-e-shaahraah-e-hayaat
Hazaaron saal kaa baar-e-garaan uThaa.e hue
Na.e ufuq se na.e qaafilon kee aamad hai
Charaagh-e-waqt kee rangeen lau baDhaa.e hue
Baghaavaton kee sipah inqalaab ke lashkar
Zameen pe paanv falak pe nazar jamaa.e hue
Ghuroor-e-fat.h ke parcham havaa men lahraate
Sabaat-o-azm ke oonche alam uThaa.e hue
Hatheliyon pe liye aaftaab aur mahtaab
Baghal men kurra-e-arz-e-haseen dabaa.e hue
UTho aur uTh ke inhen qaafilon men mil jaao
Jo manzilon ko hain gard-e-safar banaa.e hue
Qadam baDhaa.e hue hain mujaahidaan-e-vatan
Mujaahidaan-e-vatan hain qadam baDhaa.e hue
Ye aadmi ki guzargah-e-shahrah-e-hayat
Hazaron sal ka bar-e-garan uThae hue
Jabin pe katib-e-taqdir ki jali tahrir
Gale se saikDon naqsh-e-qadam lagae hue
Guzarte waqt ke gard-o-ghubar ke niche
Hasin jism ki tabindagi chhupae hue
Guzishta daur ki tahzib ki manazil ko
Jawan man ki tarah god mein sulae hue
Ye aadmi ki guzargah-e-shahrah-e-hayat
Hazaron sal ka bar-e-garan uThae hue
Idhar se guzre hain changez-o-nadir-o-taimur
Lahu mein bhigi hui mishalen jalae hue
Ghulamon aur kanizon ke karwan aae
KHud apne KHun mein Dube hue nahae hue
Shikasta dosh pe diwar-e-chin ko lade
Saron pe misr ke ehram ko uThae hue
Jalal-e-shaiKH-o-shikoh-e-barhamani ke julus
Hawas ke sinon mein aatish-kade chhupae hue
Jahaalaton ki tawil-o-ariz parchhain
Tawahhumat ki tarikiyan jagae hue
Safed qaum ke ayyar tajiron ke giroh
Fareb-o-makr se apni dukan sajae hue
Shikast-KHurda siyasi gadagaron ke hujum
Adab se TuTi hui gardanen jhukae hue
Ghamon se chur musafir thake hue rahi
Charagh-e-ruh ke dil ke kanwal bujhae hue
Ye aadmi ki guzargah-e-shahrah-e-hayat
Hazaron sal ka bar-e-garan uThae hue
Nae ufuq se nae qafilon ki aamad hai
Charagh-e-waqt ki rangin lau baDhae hue
Baghawaton ki sipah inqalab ke lashkar
Zamin pe panw falak pe nazar jamae hue
Ghurur-e-fath ke parcham hawa mein lahraate
Sabaat-o-azm ke unche alam uThae hue
Hatheliyon pe liye aaftab aur mahtab
Baghal mein kurra-e-arz-e-hasin dabae hue
UTho aur uTh ke inhen qafilon mein mil jao
Jo manzilon ko hain gard-e-safar banae hue
Qadam baDhae hue hain mujahidan-e-watan
Mujahidan-e-watan hain qadam baDhae hue