infiraadiyat
— Ali Sardar Jafri
Aa raha hai ik sitaara aasmaan se Toot kar
DauDtaa apne junoon kee raah par deevaana-vaar
Apne dil ke sho.ala-e-sozaan men khud jaltaa huaa
Muntashir kartaa huaa daamaan-e-zulmat men sharaar
Apnee tanhaa.ee pe khud hee naaz farmaataa huaa
Shauq par kartaa huaa aa.een-e-fitrat ko nisaar
Kis qadar bebaak kitnaa tez kitnaa garm-rau
Jis se sayyaaron kee aasooda-khiraamee sharmsaar
Mauja-e-Dariya ishaaron se bulaatee hai qareeb
Apnee sangeen god phailaa.e hue hai kohsaar
Hai havaa bechain aanchal men chhupaane ke liye
BaDh raha hai kurra-e-geetee kaa shauq-e-intizaar
Lekin aisa anjum-e-raushan-jabeen o taabnaak
Khud hee ho jaataa hai apnee taabnaakee kaa shikaar
Aa raha hai ek sitara aasman se TuT kar
DauDta apne junun ki rah par diwana-war
Apne dil ke shoala-e-sozan mein KHud jalta hua
Muntashir karta hua daman-e-zulmat mein sharar
Apni tanhai pe KHud hi naz farmata hua
Shauq par karta hua aain-e-fitrat ko nisar
Kis qadar bebak kitna tez kitna garm-rau
Jis se sayyaron ki aasuda-KHirami sharmsar
Mauja-e-dariya ishaaron se bulati hai qarib
Apni sangin god phailae hue hai kohsar
Hai hawa bechain aanchal mein chhupane ke liye
BaDh raha hai kurra-e-giti ka shauq-e-intizar
Lekin aisa anjum-e-raushan-jabin o tabnak
KHud hi ho jata hai apni tabnaki ka shikar