ishq kaa nagma junoon ke saaz par gaate hain ham

Ali Sardar Jafri

Ishq kaa naghma junoon ke saaz par gaate hain ham Apne gham kee aanch se patthar ko pighlaate hain ham Jaag uThte hain to suulee par bhee niind aatee naheen Vaqt paD jaa.e to angaaron pe so jaate hain ham Zindagee ko ham se baDh kar kaun kar saktaa hai pyaar Aur agar marne pe aa jaa.en to mar jaate hain ham Dafn ho kar khaak men bhee dafn rah sakte naheen Laala-o-gul ban ke veeraanon pe chhaa jaate hain ham Ham ki karte hain chaman men ehtimaam-e-rang-o-boo Roo-e-getee se naqaab-e-husn sarkaate hain ham Aks paDte hee sanvar jaate hain chehre ke nuqoosh Shaahid-e-hastee ko yuun aa.eena dikhlaate hain ham Mai-kashon ko muzhda sadiyon ke pyaason ko naved Apnee mahfil apna saaqee le ke ab aate hain ham