kabhi khandaan kabhi giryaan kabhi raqsaa chaliye

Ali Sardar Jafri

Kabhi khandaan kabhi giryaan kabhi raqsaa chaliye Duur tak saath tire umr-e-gurezaan chaliye Rasm-e-dereena-e-aalam ko badalne ke liye Rasm-e-dereena-e-aalam se gurezaan chaliye Aasmaanon se barastaa hai andheraa kaisaa Apnee palkon pe liye jashn-e-charaaghaan chaliye Shola-e-jaan ko havaa detee hai khud baad-e-sumoom Shola-e-jaan kee tarah chaak-garebaan chaliye Aql ke nuur se dil keejiye apna raushan Dil kee raahon se soo-e-manzil-e-insaan chaliye Gham na.ee sub.h ke taare kaa bahut hai lekin Le ke ab parcham-e-khursheed-e-darakhshaan chaliye Sar-ba-kaf chalne kee aadat men na farq aa jaa.e Koocha-e-daar men sar-mast-o-ghazal-khvaan chaliye