lagzish e gaam liye lagzish e mastaana liye

Ali Sardar Jafri

Laghzish-e-gaam liye laghzish-e-mastaana liye Aa.e ham bazm men phir jur.at-e-rindaana liye Ishq pahloo men hai phir jalva-e-jaanaana liye Zulf ik haath men ik haath men paimaana liye Yaad kartaa thaa hamen saaqee-o-meenaa kaa hujoom UTh ga.e the jo kabhi raunaq-e-mai-khaana liye Vasl kee sub.h shab-e-hijr ke ba.ad aa.ee hai Aaftaab-e-rukh-e-mahboob kaa nazraana liye Asr-e-haazir ko mubaarak ho nayaa daur-e-avaam Apnee Thokar men sar-e-shaukat-e-shaahaana liye