lahuu pukaartaa hai
— Ali Sardar Jafri
Lahoo pukaartaa hai
Har taraf pukaartaa hai
Sahar ho, shaam ho, khaamoshee ho ki hangaama
Juloos-e-gham ho ki bazm-e-nashaat-aaraa.ee
Lahoo pukaartaa hai
Lahoo pukaartaa hai jaise khushk sahraa men
Pukaaraa karte the paighambaraan-e-israa.eel
Zameen ke siine se aur aasteen-e-qaatil se
Guloo-e-kushta se behis zabaan-e-khanjar se
Sadaa lapaktee hai har samt harf-e-haq kee tarah
Magar wo kaan jo bahre hain sun nahin sakte
Magar wo qalb jo sangeen hain hil nahin sakte
Ki un men ahl-e-havas kee sadaa kaa siisa hai
Vo jhukte rahte hain lab-haa-e-iqtidaar kee samt
Vo sunte rahte hain bas hukm-e-haakimaan-e-jahaan
Tavaaf karte hain arbaab-e-geer-o-daar ke gird
Magar lahoo to hai be-baak o sarkash o chaalaak
Ye sho.ala mai ke piyaale men jaag uThtaa hai
Libaas-e-atlas-o-deebaa men sarsaraataa hai
Ye daamanon ko pakaDtaa hai shaah-raahon men
KhaDaa huaa nazar aataa hai daad-gaahon men
Zameen sameT na paa.egee us kee baanhon men
Chhalak rahe hain samundar sarak rahe hain pahaaD
Lahoo pukaar raha hai lahoo pukaaregaa
Ye wo sadaa hai jise qatl kar nahin sakte
Lahu pukarta hai
Har taraf pukarta hai
Sahar ho, sham ho, KHamoshi ho ki hangama
Julus-e-gham ho ki bazm-e-nashat-arai
Lahu pukarta hai
Lahu pukarta hai jaise KHushk sahra mein
Pukara karte the paighambaran-e-israil
Zamin ke sine se aur aastin-e-qatil se
Gulu-e-kushta se behis zaban-e-KHanjar se
Sada lapakti hai har samt harf-e-haq ki tarah
Magar wo kan jo bahre hain sun nahin sakte
Magar wo qalb jo sangin hain hil nahin sakte
Ki un mein ahl-e-hawas ki sada ka sisa hai
Wo jhukte rahte hain lab-ha-e-iqtidar ki samt
Wo sunte rahte hain bas hukm-e-hakiman-e-jahan
Tawaf karte hain arbab-e-gir-o-dar ke gird
Magar lahu to hai be-bak o sarkash o chaalak
Ye shoala mai ke piyale mein jag uThta hai
Libas-e-atlas-o-diba mein sarsaraata hai
Ye damanon ko pakaDta hai shah-rahon mein
KhaDa hua nazar aata hai dad-gahon mein
Zamin sameT na paegi us ki banhon mein
Chhalak rahe hain samundar sarak rahe hain pahaD
Lahu pukar raha hai lahu pukarega
Ye wo sada hai jise qatl kar nahin sakte